Aakhirat

Zameen pe chalna nahin aata
Aasmaan ke khwaab dekhta
Duniya ki reet se anjaan
Nasamajh hai ek ladka

Nayano mein swapn liye
Raah takta rah gaya
Chaah toh na nikal saki
Ki zindagi bikhar gayi

Ulajha raha phoolon mein kahin
Duniya aage badh gayi
Jab tak use khabar hui
Ki haay der ho gayi

Ek din magar kahin
Anjaan si sadak par
Ek ajnabi aata dikha
Nazar uski jhuk gayi

Paheli mulaakat thi wo
Ya aakhirii milan kaho
Na koi baat hui
Saari ummeedein jal gayi

Faisla sunaane aaye the
Qaabil use samjha nahin
Uski kuch suni nahin
Tod diye silsile sabhi

Aankh thi bhari bhari
Ki sawan barsne laga
Na wo kuch kah saka
Na usey baraabar samjha koi

Shaam dhali, raat hui
Laut gaye ghar sabhi
Wo wahi khada raha
Na jaane kab sehar hui

- Raja